Han mujhe yaad hai lafz ba-lafz , hurf ba-hurf, or bholon bhi to kaise k dushman-e-jaa'n dil se kabhe jate he naheen. Wo haqiqat jo main kai barson se dil k nehal khano main dabaye betha hon. Aisay waqiyat jo yahan meray sewa koi naheen janta. Aye! ap bhi milye , or parhiye mera ik or sach..
December, ka hameesha ki tarhan de-mar guzar raha tha, udhar dewar k us paar mera ghumgusar, mera saathi, mera yaar qareeb-e-marg he tha. Hum sab har mumkin koshish kar chukay thay par ussay samjhanay na sirf mushkil hogaya tha bulke ab to uska samna bhi humaray liye mumkin naheen raha tha. Itni raat ko paise jama karna wo bhi ik jaan ki khatir, na jane kiun namumkin lag raha tha jab k isse kaheen ziyada raqm hum yunhi ura diye karte thay. Hum kul 5 larke thandi rah'dari main kharay yakhbasta ALLAH k agay sarnugo'n thay k humaray dost ko bacha le, usay seedhi rah dekhaye. Subha ka suraj kuch he ghanton main apna ujala bekhair deta par isse kuch pehlay mera baqi char(4) dost meray pass aye or un main se ik bola;
' Yar ! tu he dua karle, teri to oper zara jaldi sunli jati hai ' meray is dost ka man'na tha k main ik acha khasa WALI banda hon (astaghfilullah) na na lafz ghalat naheen, mansab zara bara hai main qabil naheen [par main na kehne ka bhi rawadar naheen]
so khamoshi se sar hilay k main rah'dari k dosray seray main ja pohcha jahan bethnay ka intezam tha or meray ik muhtaram dost ik bench par ista'da thay. Mosoof apne apko khasi masroof or ma'roof hasti gardantay hain [ye inka qat'an zaati khayal hai] filhal be rozgar hain isliye faraghat he inki wajh-e-shuhr'at or kamal-e-masroofiyat hai. Main ne janab ko bedardi se uthaya kiun k yehi ik wahid tareeka hai soye hoye is geedar ko uthana ki [geedar yad rakhiye ga tafseel phir kabhi]. Wapis aya to baqi waheen ista'da thay main ne ankhon he ankhon main hal-e-yar poocha par pata chala koi itel'a naheen jo ke achi baat thi, kiun k meray khayal main 'bekhabri itni bhi buri sheh naheen, yeh achi he hoti hai'.
Subhe sadiq ka suraj namudar honay he chahta tha so moazzan mian ko [kareebi masjid k] kuch josh aya or wo kharay hoay. Taizgam se kuch taiz raftar main [taizgam ki wo raftar jo hyderabad se karachi k doran hoti hai] azan degayi or azan khatum hotay he main ne apni ruki hoi jabai li. Abhi irada he kia tha namaz ki adaegi ka k ander se darwaza khula. Khila chehra, num ankhain, shukr ki gardan karte hoay hont, daraz qad qo humaray saath, humaray samnay tha, bahar atay he usne mask hataya or kaha;
' Aby salon meri Dr.qadir k pass job lagaye. Bhai ki Pehli surgery ‘
Ap kia samjhay? main likhnay laga hon? :D ghbra to naheen gaye na..