Main Naheen Bhoola..

Han mujhe yaad hai lafz ba-lafz , hurf ba-hurf, or bholon bhi to kaise k dushman-e-jaa'n dil se kabhe jate he naheen. Wo haqiqat jo main kai barson se dil k nehal khano main dabaye betha hon. Aisay waqiyat jo yahan meray sewa koi naheen janta. Aye! ap bhi milye , or parhiye mera ik or sach..

December, ka hameesha ki tarhan de-mar  guzar raha tha, udhar dewar k us paar mera ghumgusar, mera saathi, mera yaar qareeb-e-marg he tha. Hum sab har mumkin koshish kar chukay thay par ussay samjhanay na sirf mushkil hogaya tha bulke ab to uska samna bhi humaray liye mumkin naheen raha tha. Itni raat ko paise jama karna wo bhi ik jaan ki khatir, na jane kiun namumkin lag raha tha jab k isse kaheen ziyada raqm hum yunhi ura diye karte thay. Hum kul 5 larke thandi rah'dari main kharay yakhbasta ALLAH k agay sarnugo'n thay k humaray dost ko bacha le, usay seedhi rah dekhaye. Subha ka suraj kuch he ghanton main apna ujala bekhair deta par isse kuch pehlay mera baqi char(4) dost meray pass aye or un main se ik bola;
' Yar ! tu he dua karle, teri to oper zara jaldi sunli jati hai ' meray is dost ka man'na tha k main ik acha khasa WALI banda hon (astaghfilullah) na na lafz ghalat naheen, mansab zara bara hai main qabil naheen [par main na kehne ka bhi rawadar naheen]

so khamoshi se sar hilay k main rah'dari k dosray seray main ja pohcha jahan bethnay ka intezam tha or meray ik muhtaram dost ik bench par ista'da thay. Mosoof apne apko khasi masroof or ma'roof hasti gardantay hain [ye inka qat'an zaati khayal hai] filhal be rozgar hain isliye faraghat he inki wajh-e-shuhr'at or kamal-e-masroofiyat hai. Main ne janab ko bedardi se uthaya kiun k yehi ik wahid tareeka hai soye hoye is geedar ko uthana ki [geedar yad rakhiye ga tafseel phir kabhi]. Wapis aya to baqi waheen ista'da thay main ne ankhon he ankhon main hal-e-yar poocha par pata chala koi itel'a naheen jo ke achi baat thi, kiun k meray khayal main 'bekhabri itni bhi buri sheh naheen, yeh achi he hoti hai'.

Subhe sadiq ka suraj namudar honay he chahta tha so moazzan mian ko [kareebi masjid k] kuch josh aya or wo kharay hoay. Taizgam se kuch taiz raftar main [taizgam ki wo raftar jo hyderabad se karachi k doran hoti hai] azan degayi or azan khatum hotay he main ne apni ruki hoi jabai li. Abhi irada he kia tha namaz ki adaegi ka k ander se darwaza khula. Khila chehra, num ankhain, shukr ki gardan karte hoay hont, daraz qad qo humaray saath, humaray samnay tha, bahar atay he usne mask hataya or kaha;


' Aby salon meri Dr.qadir k pass job lagaye. Bhai ki  Pehli surgery ‘

Ap kia samjhay? main likhnay laga hon? :D ghbra to naheen gaye na..

Eid Mubarak

imagesCALZHN30
Kia yeh zaroori hai k talab main rehnay wali har machli, apne se kai gunah sahib-e-ikhtiyar, taqatwar aabi keerya ya janwar ki mehkom banay, usay tasleem karay ya uske saath samjhota karay?
Kis yeh zarori hai k hum insaan apne mua'shray main mojood magarmach jitnay baray or sanp jitnay zehreelay farsooda nizam or riwayat ko apne jism se, roh se isliye chipkaye rakhain k yeh hamaara wirsa'n hain?
Kia yeh zarori hai k hum bhi manind e machli kisi baray shikar ki khuraq sirf isliye ban jain k hum tabdiliyon se khaif hain. Hum jan bachanay k bajaye sar khum karne k ad'di hain?
Kis bas yehi qirdar hai humara zindagi k itnay taweel safar main. Is jahan main kia yeh wuq'qat hai humari? Ye kharaba, jis main ghari do gahri sans lenay k liye ruknay walay, apne qaflay walon se, humsafar musafiron se kusoon door reh jatay hain. Jahan chahe jang ka maidan ho ya race ka track ik lamhay ki chook kaya palat deti hai.
Yahan 2 ghari ka sans lena insaan ko itna bhari par jata hai ke wo manzil se kai meel door hojata hai wahan kia meray is izteraab ki koi gunjaish nikalti hai? Kia waqt ki chokhat par sanson se ziyada taiz chalnay wali soiyan mujhe mohlat-e-shikayat at'ta karain gi or agar yeh kar bhi dain to kia koi mera shikwah sun'nay ka rawadar bhi hoga? Itna waqt shayed ab naheen hai..
Aj 10 Zil-haj hai, azeem qurbani ka din. Yeh din humain bohat se asbak yad dilata hai or guzar jata hai. Magar hum, hum bhi itne ustaad hochukay hain k bas din bhar ko hi iski batain yad rakh patay hain or raat ka andhera chanay tak ehkal-e-ILAHI rivayat k samdar main abb-e-gohar ki manind neechay kaheen chup jatay hain.
Janti hon bura lagta hai jab koi tanqeedi nighaon se humara jaiza leta hai. Maqsad yahan kisi appeal karna naheen hai,kisi ko ghalat ya sahi sabita karna bhi naheen hai. mera hargiz irada yeh bhi naheen k main kisi ko talqeen karon falan jaga khal deijiye ya falan ghar apke mohalay main ata hai wahan gosht zaroor dejiye, parosiyan k haqoq kia hain ya ye k sara gosht freez na karain. Main to bas yeh keh raheen hon k kia yeh humari badnaseebi ki akhri had hai ya sarhad abhi kuch meel or agay hai? Mera maqsad to is anderoni jang ka khatma hai, bas yeh jang rukwa do. Jang jo mera mulk k mustaqbil ka har sephai apne he ander lar raha hai. Jang baqa ki, umeed ki, mustaqbil ki or hub-ul-watni ki. Ye jinahin hum ne is nehj par pohncha dia hai k inhain qurbani k naam par teh Bar BQ's ka menu yad hota hai. Yeh gharon main itna sar utha kar chlnay k adhi bana diye jatay hain k bahar agar inhain ehtraman bhi kisi k agay jhukna paray to inki gardan he jhuknay se inkar kardeti hai..Qasoor inka naheen ghalti humari hai phir bhi meri janib se
EID MUBARAK!